| hamesha der kar deta hun main, har kaam karne main
zaroori baat kehni ho, koi waada nibhaana ho
usay awaaz deni ho, usay wapas bulaana ho
hamesha der kar deta hun main
madad karni ho uski, yaar ki dhaaraz bandhana ho
bahut dereena rastoon par kisi se milnay jaana ho
hamesha dair kar deta hun main
badaltay mausamoon ki sair main dil ko lagana ho
kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jana ho
hamesha dair kar deta hun main
kisi ko maut se pehle kisi gham se bachaana ho
haqeeqat aur thi kuch, us ko jaa ke ye bataana ho
hamesha der kar deta hun main har kaam karne main
__________________
Suno!
Tum Azm Walay Ho
Bala Ka Zabt Rakhtay Ho
Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga
Magar Dekho
Jisay Tum Chhoray Jatay Ho
Usay Tou Theek Se Shayad
Bichharna Bhi Nahi Aata
Suno!
Tum Azam Walay Ho
Usay Matt Chhor Ke Jao |