| jab say k tamnna-o ka izhaar howa hay jab say k tamnna-o ka izhaar howa hay
har shakhs mayri rah ke deewar hwa hay
har baar hi taala hay tayri yaadoon ko laykin
yah faysla mushkil say hi har baar howa hay
phir aaj isay khayncha janoon nay soo-ay wahshat
phir aaj wo ruswa sar-ay baazar howa hay
bus hum hi kia karty hayn izhaar-ay mohbbat
tum bhi to kabhi hum say kaho piyaar howa hay
rakhtay hayn saray buzm nigahoon may mujhy wo
hasna bhi mayra ba-ist-ay aazaar howa hay
har ek k nazar aatay hayn bigray howay taywar na-e-yar ghum-ay doran say jo do chaar howa hay
__________________ Aey Meray ALLAH Mein Tuj Se Mangta Houn
"Kamil Eemaan"
Aur
"Sacha Yaqeen"
Aur
"K
hushada Rizq"
Aur
"Ajjzi Karny Wala Dil"
Aur
"Tera Zikr Karny Wali Zaban"
Aur
"Halal Pak Rozi"
Aur
"Sachay Dil Ki Tauba"
Aur
"Maut Se Peh
lay Ki Tauba"
Aur
"Maut K Waqt Ka Arram"
Aur
"Marnay K Baad Maghfarat O Rehmat"
Aur
"Hisaab K Waqt Maafi" |