| kabhi yaad Aaye to poochna zara apni khalawat-e-shaam se
kisay ishq tha teri zaat se
kisay pyar tha teray naam se
Zara yaad karo ke wo kon tha
jo kabhi tujhay bhi aziz tha
Wo jo jee utha teray naam se
Wo jo mar mita teray naam se
Hamain berukhi ka nahin gila k yehi wafaon ka hai sila
Magr aisa jurm tha konsa gaye hum dua-o-salam se
Na kabhi visaal ki chaah ki
Na kabhi firaaq mein AAH ki
Koi mera tareeka-e-bandagi hay
Juda tareeka-e-Aam se!!!!!!!!!!!!!!!
__________________ *~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ Jaanti hoon k munfarid nahin hoon magar
Koi to baat hay aisi k who dewana hogaya *~*~*~*~*~*~ *~* ~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ Jaisi bhi hoon achi buri apnay liay hoon
Mein khud ko nahin dekhti auroun ki nazar say *~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ |