| Ghum ki baarish ney bhi teray naqsh ko dhoya nahin
Tu ney mujh ko kho diya, Mein ney tujhey khoya nahin
Neend ka halka ghulabi sa khumar ankhoon mein tha
Yoon laga jaisay woh shab ko dair tak soya nahin
Her taraf deewar-o-dar aur in mein ankhoon key hajoom
Keh sakey jo dil ki halat woh lab goya nahin
Jurm adam ney kiya aur nasl adam ko saza
Kat'ta hoon zindagi bhar mein ney jo boya nahin
Janta hoon mein aik aisay shakhs ko bhi Munir
Ghum sey pathar ho gaya laikin kabhi roya nahin.
__________________ Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil...
...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ...
ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ...
believe in ALLAH n urself" |