| Hadd-e-nazar tak na koi manzil na koi muqaam,
raasta humee ne ikthiyaar kiya tha, ab gila karen bhi tho kisse karen?
Woh mera ho na saka kehte hazaar laila-majnu dekhe,
jo mera hokar bhi apna na hua, is dard ko dil mein kaise chupaayen?
na kabhi maatha teka na kabhi sajda kiya,
duaein tho hazaron karni hain, khuda ke saamne haath kaise uthaayen?
sar-e-raah-e-zindagi par baithe hain thak-haar kar,
jaana tho abhi badi door hain, jaan is murda jism mein kahaan se laayen?
kuch tamannaon ka koi thikaana nahi hotha,
jo bayaan hi na ho saka, us afsaane ka anjaam kahaan dhoonden?
__________________ Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil...
...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ...
ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ...
believe in ALLAH n urself" |