| ~~~~ Soch Lena ! ~~~~ May barishon may jo yaad aun…
To soch lena….
K is ki boondoon mein mere ashkon nay ghar kiya hai…
Safr kiya hai…asr kiya hai….
Mein barishon mein jo yaad aun..
To soch lena…
K bheegay mausam nay mera anchal bhigo diya hai…
Tha dard e hijran bara hee katil…
Woh mere dil mein samo diya hai….
Tumharay wadon ka tha mehel jo….
Yeh sab kuch tez lehron nay daboo diya hai…
Mein barishon mein jo yaad aun…
To soch lena….
__________________
Suno!
Tum Azm Walay Ho
Bala Ka Zabt Rakhtay Ho
Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga
Magar Dekho
Jisay Tum Chhoray Jatay Ho
Usay Tou Theek Se Shayad
Bichharna Bhi Nahi Aata
Suno!
Tum Azam Walay Ho
Usay Matt Chhor Ke Jao |