| chalo ik baar phir se ajnabi ban jaayen hum dono
na main tum se koi umeed rakhon dilnawaazi ki
na tum meri taraf dekho ghalat andaaz nazron se
na mere dil ki dharkan larkharaye meri baaton main
na zaahir ho tumhaari kashmakash ka raaz nazron se
Chalo ik baar phir se ajnabi ban jaayen hum dono
__________________
Suno!
Tum Azm Walay Ho
Bala Ka Zabt Rakhtay Ho
Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga
Magar Dekho
Jisay Tum Chhoray Jatay Ho
Usay Tou Theek Se Shayad
Bichharna Bhi Nahi Aata
Suno!
Tum Azam Walay Ho
Usay Matt Chhor Ke Jao |