Aaj Dareeche mein wo aana bhool gaya...
Main bhi apna diya jalana bhool gaya.../
Aaj mujhe bhi uski yaad nahi aayi...
Wo bhi meray khuwabon mein aana bhool gaya.../
Chalte Chalte main usko ghar le aaya...
Wo bhi mujhse apna haath churana bhool gaya.../
Khat likha hai lekin khat k koney pe...
Main apni aankh k aanso mitana bhool gaya.../
Rooth k ek jaga pe donon bethay rahe...
Main usko, wo mujh ko manana bhool gaya.../