| ham bhee kabhi kisse ka intezaar karengay ham bhee kabhi kisse ka intezaar karengay
har lamhaa,har pal ussay dildaar karengay
jab lot aayengee baharein meray har su
unn se milkar unhein bay shumaar karengay
dharkanein jab geet waffa k gayengee.
labon se unko phir moseeqar karengay
haaya k parday aur jagmaga uthengay
shokhion k perhan hamein gulnar karnegay
wo chahat jo eshq ki zanjeer ban jaaye
unn beriyon ko tere gallay ka haar karengay
rafta rafta payege sakun jevan ki nadiya
rafta rafta hum usse paar karengay
moja-e-subha jo sir-e-shak-e-gul saama jaye
kabhi jan sadqe tu kabhi jan nisar karngay
hina se lekah kar nam hateli par unn ka
naz usski khusboo se khud ko sarshar karengay
ay baad e saba tu unn se jaakar keh day
ek baar wo aajayein hum buhat peyar karengay.
__________________ nazneen |