| shayad abhi hai raakh mein koi sharar bhi
kyon varna intizaar bhii hai iztiraar bhii
dhyan aa gaya hai marg-e-dil-e-naamurad ka
milane ko mil gayaa hai sukun bhii qaraar bhii
ab Dhundhne chale ho musaafir ko dosto
hadd-e-nigaah tak na raha jab Gubar bhi
har aasta'n pe nasiyaa_farsaa hain aaj vo
jo kal na kar sake the teraa intazaar bhii
ik raah ruk gai to ThiThak kyon gai 'Ada'
aabad bastiyaan hain paharo'n ke paar bhi
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |