Aankhon mein khuwab sajaya na jaega..
Chahat ka bojh humse uthaya na jaega.../
Jab pehli baar aapne thaama tha mera haath...
Lamha wo Saari umar bhulaya na jaega.../
Chalni sa ho gaya hai Dil-e-Zaar...
Dekhlo ab dosti ka haath barhaya na jaega.../
Humne ye soch ker unhein tohfa nahi diya....
Kangan ka bojh un se uthaya na jaega.../
Awaaz humne deni hai har ek maqaam per...
Go jaantey hain aap se aya na jaega.../
Chaand Doob gaya janey kis ghari...
Lagta hai chatt se chand ka saaya na jaega.../