| uss k bina ab chup chup rehna acha lagta hai
Khamoshi say dard ko sehna acha lagta hai
Jiss hassti ki yaad mein ansoo barasstay hain
Saamnay uss k kuch na kahna acha lagta hai
Mil kar uss say bicharr na jaaon darti rehti hon
Is liye bass door hi rehna acha lagta hai
Jaanti hon k chaahat mein bass ansoo miltay hain
Kuch b ho ab iss zeher ko peena acha lagta hai
Ji chaahay sab khushiyan lay kar uss ko day don
uss k piyar main sab kuch khona acha lagta hai
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |