| Dekhna bhi to unhein door se dekha karna
sheva-e-ishq nahin husn ko rusva karna
ek nazar hi teri kaafi thi ki ae raahat-e-jaan
kuch bhi dushwaar na tha mujh ko shakebaa karna
unn ko yaan vaade pe aa lene de ae abr-e-bahaar
jis tarah chaahna phir baad mein barsa karna
shaam ho yaa ki sehar yaad unhee ki rakh le
din ho yaa raat hamein zikr unhee ka karna
kuch samajh mein nahin aata ki ye kya hai 'Hasrat'
unn se milkar bhi na izhaar-e-tamanna karna.
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |