| aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai
tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai
gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai
tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai
waqt ke saath haalaat badal jaate haiN
ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai
ek muddat se jahaN qaaflay guzre hi nahiN
aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |