| zehar ka jaam bhi dain aap to peena hoga
warna dastoor-e-wafa dehar main ruswa hoga
shab ghanimat hai sitaaroun pe nazer rakh ke chalo
subah ke saath ujjaloun ka andhairaa hoga
zindagi tujh se mulaqaat nahi hai lekin
koi kehta hai ke har haal main jeena hoga
ek manoos si awaaz pe chalta hoon magar
dil yeh kehta hai thair, phir koi dhooka hoga
waqt qatil hai to rehne do mere saath ise
yahi qatil mere zakhmoun ka masiha hoga
jis main roshan na ho ahsaas-e-mohabbat ka chiraagh
dil na kahiye use woh aqal ka sehraa hoga
koi daawaa na kare apni wafadari ka
shama jalti hai to parwana bhi jalta hoga
hum se wabasta hai tareekh saleeboun ki RAIS
hum jahan thairain , zamane ko thairna hoga
__________________ Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil...
...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ...
ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ...
believe in ALLAH n urself" |