| tarapte hain na rote hain na ham fariyaad karte hain
sanam ki yaad mein hardam Khudaa ko yaad karte hain
unhin ke ishq mein ham nala-o-fariyaad karte hain
ilaahi dekhiye kis din hamein vo yaad karte hain
shab-e-furqat mein kya kya saanp lahrate hain seene par
tumhari kaakul-e-pechan ko jab ham yaad karte hain
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........
Last edited by Rider Of Sucess; 09-05-2008 at 04:38 PM..
|