| Apnay ghar ki khirkee se main aasman ko dekhon ga
jis par tera naam likha hai , us taray ko dhoondon ga
tum bhi har shab diya jala kar palkon ki dehleez pe rakhna
main bhi roz aik khwab tumharay shehar ki janib bhaijon ga
hijr k darya main parhna lehron ki tehreerien bhi
pani ki har satar pe main kuch dil ki baatien likhon ga
jis tanha se payre k neechay hum barish mein bheegay thay
tum bhi usko chhoo k guzarna, main bhi us se liptoon ga
khwab musafir lamhon k hain , saath kahan tak jaien gay
tum ne bilkul theek kaha hai , main bhi ab kuch sochon ga
__________________ Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil...
...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ...
ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ...
believe in ALLAH n urself" |