| Hum yaad tumhi ko karte hain...
Tum yaad hamein bhi kar lena.../
Ho raat Akeli pichley pehar ...
Aur chaand gagan mei aajaye ..../
Tum chaand ki maanind tanha ho....
Ye baat tumhein tarpa jaye..../
Kuch khuwaab saja k palkon pe...
Tum chaand se baatein kar lena..../
Hum yaad tumhi ko karte hain...
Tum yaad hamein bhi kar lena.../
Kuch baat na ho aisi hi...
Nam aankh tumhari ho jaye..../
Tum baat kahin pe karte ho....
Aur Dil kahin per kho jaye.../
Jazbaat k aise aalam mein...
Muskan labon pe bhar lena.../
Hum yaad tumhi ko karte hain...
Tum yaad hamein bhi kar lena.../ |