| Saaf Kah do Na ...!!! Nahi acha koi ishaara,
Saaf kah do na !
Kahan tak saath do get um hamara,
Saaf kah do na !
Judaai ki tarhan darya bhi apne saath chalta hai,
Nahi milta kinarey se kinara…
Saaf kah do na !
Bahaney apni majbori k,
Kyun aa aa key sunatey ho…
Qusoor is mein nahi koi tumhara…
Saaf kah do na !
Hamein tanhai k ta’ney tu mat do ghar ke aagay,
K hum bhi dhoond lein koi sahara…
Saaf kah do na !
Hamaray haath ki aksar lakerein, milti julti hain,
Magar nahi milta apna sitara..
Saaf kah do na ! |