| Ta'lluq torta hon tu mukammal tor deta hon,
Jisey main chorta hon, mukammal chor deta hon...
Yaqeen rakhta nahi hon main kisi kaccheyy tal'luq pe,
Jo dhaaga totney wala ho, usay mein khud tor deta hon...
Mohabbat ho k nafrat ho, bhara rahta hon shiddat se,
jidhar se aya ye darya, udhar hi morr deta hon....
Meray dekhey hue khuwaab kahin murda na rah jayein,
Gharoondey rait k taamir kar k khud phorr deta hon....
Ajab bachpana hai abtak, wohi takhreebkari hai,
qafs ko torr deta hon, parindey chor deta hon...... |