| Dekh lo khuwaab magar khuwab ka charcha na kro...
Log jal jayein ge, Soraj ki tamanna na karo.
Waqt ka kia hai, kisi bhi pal badal sakta hai...
Ho sakey tu tum mujh pe bharosa na karo.
Kirchyan totay hue aks ki chubh jayein gi...
aur kuch roz abhi Ayina dekha na karo.
Ajnabi lagne lagne lagay, khud tumhein apna hi wujood,
Apney din raat ko itna tanha bhi na karo.
Khuwaab bacchon k khilonon ki tarhan hote hain,
Khuwaab dekha na karo, khuwaab dikhaya na karo.
Bekhayali mein kabhi ungliyaan jal jayein gi,
Raakh guzre hue lamhon ki kuraida na karo.
Moum k rishtey hain, garmi se pighal jayein ge,
Dhoop k sheher mein ye tamasha na karo.... |