| Jaana....!!!
ye tu tumhein pata hi hoga,
K janay walon ka afsos kar sakte hain....
Marnay walon pe ro sakte hain,
Magar unke lautney ka intezaar nahi karte.
Marnay wale kabhi wapis nahi aatay....
Unko awaaza nahi detay.
Un mein dil nahi dharakta,
Ehsas nahi hota..
Jazbaat nahi hotey...
Jo mar jayein wo lauta nahi karte..
Tum bhi mera rasta na takna,
Mera intezaar na karna...
Jo tumhari mohabbat k liye marta tha,
Usay tumhari mohabbat ne hi maar dala..
Aur Janaa...!!!
Marney wale kabhi lauta nahi karte..... |