| Hamesha Dair Kar deta hon main.....
Zaroori Baat kahni ho,
Koi wada nibhana ho,
usay awaaz deni ho,
usay wapis bulana ho.
Hamesha dair kar deta hon main....
madad karni ho uski,
uski himmat bandhani ho,
bohat dairina raston pe,
kisi se milne jana ho.
Hamesha dair kar deta hon main...
badalte mausamon ki sair mein,
dil ko lagana ho,
kisi ki yaad rakhna ho,
kisi ko bhol jana ho.
Hamesha dair kar deta hon main....
kisi ko maut se pehlay,
kisi gam se bachana ho,
haqiqat aur thi,
usko ja ke ye batana ho.
Hamesha dair kar deta hon main..... |