Quote:
Originally Posted by Texpert Appii bth khoob zaino..........  keep posting  |
main bhi aa gai uzzi....
Aankhon sy tootte hain sitaare to kya hua
Chalte nahi wo saath hamary to kya hua
Toofaan ke zad mein azm mery saath saath tha
Kashti ko mil saka na kinara to kya hua
Tanhaion ne mujh ko galay sy laga liya
Wo ban sakay na Dilse hamary to kya hua
Sau hausly hamary qadam choomty rahay
Kuch be sukoon raat guzare to kya hua
Manzil bhi, karwan bhi, musafir bhi khud raha
Saathi bany na Hamary chand sitaray to kya huwa....
Aankhein band kr k bhe,hum tera deedar karty hain,
Aye sanam, hum to sirf tum sy pyar karty hain.
Lakh chaah kr bhe main tujhe bhula nahi sakta,
Saans rahte, teri tasver aankhon sy hata nahi sakta.
Aakhri pal tak o bewafaa, tujhy yaad karta hoon,
Teri yaadon ko seene mein basa kar chalta hoon...