*******************************************
Ab KaY YooN DiL Ko SazA Di HamNaY
Us Ki Hr BaT BhuLa Di HamNaY
Ek eK PhOoL BoHaT Yad AyA
ShAhK_e_gul Jab Who Jala Di HamNaY
Aj Phir Yad Bohat AyA Who
Aj PhiR UsKo Dua Di HamNaY
Ko e To BaaT Hy UsMay FaraZ
Har KhushI GiS Py Luta Di HamNaY:(
**************************************
dukh dena to shayad us ki fitrat mein shamil hai
mera yeh zarf hai ke usse sajdon mein bhi dua doon
meri rooh tak to us ke hisaar mein hai
mein is se barh kar usse aur kya doon?
woh shakhs ke qadam qadam per karta raha munafiqat
magar mein chahoon ke usse umer bhar ki wafa doon
meri khushion ka qatil bhi wohi hai lekin
dil nahin manta ke usse koi saza doon
dharakta hai dil ban kar seene mein woh
tum hi kaho kaise mein us ko bhula doon
faaslon ne bhatka diya hai woh aesa to naa tha
mere qareeb kabhi aaye to mohabbat ka pekar bana doon
************************************************** *******
Jaao kay mujay yakeen nahiN hai
Tum ab kay gaey toH aaH sako gay
Dehleez say ik qadam utar kar
WoH raH ghuzar muntazir hai
Jis par jo chala gaya hai
QadmuN kat nishaaN bichha gaya hai
Furqat kay diye jala gaya hai.............
************************************************** **********
Is Ishq Nay Berbaad Kiya Hai her Shaks Ko,
Is Ishq Main Bikhernay Walay Tanha Tum he Nahi
Kehnay Ko To Faqat aik Dil He Tota Hai,
Apna Sub Kuch Lutanay Walay Tanha Tum He Nahi,
Hasntey Huway Chehrey Hain Yahan Sub K,
Derd Yun Chupanay Walay Tanha Tum He Nahi
Shab_E_Tanhaie Ki Dastaan Aik See Hai Sub ki
Andheroon Main Rehnay Walay Tanha Tum he Nahi
Aisa Lagta Hay Aik Saza Ho Zindagi Meri,
Is Qaid Main Rehnay Walay Tanha Tum He Nahi,
Is Sheher Main Aur Bhe Dewanay Hain SAHIL...
DER DER Bhatakney Walau Tanha Tum He Nahi...
************************************************** *******
Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan .............
Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Uusay Jeenay Ki Too Duaa Na Day,
Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day
Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day,
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,
Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.
************************************************** ***************************
"Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai...
MAin ney kaha sitaron ka koi shumar nahin
Us ney kaha k kon tumhin hai bohat aziz ?
MAin ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyar hai
Us ney kaha Kon sa Tofah tumhin main doon
MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai
Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz...
Main ney kaha, qurb ka matlab bahar hai......
Us ney kaha senkron gham zindagi main hain
Main ney kaha gham nahin, jab ghamgasar saath hai
Us ney kaha saath kahan tak nibhaon gey...???
Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai......
Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah
Main ney kaha, naam mera Eitbaar hai....!!!
************************************************** *******************
mujhay ek baat kehni thi, tumhain itna bataana tha
ke meri zindagi ho tum , tumhain hi sochta hon main
buhat masrof rehta hon , buhat say kaam hain mujh ko
magar tum say nahin ghafil,tumhain hi sochta hon main
buhat say log miltay thay , magar jab say tumhain dekha
na janay kya hua mujh ko , tumhain hi soochta hoon main
mujhay auroon say kya lena, mera logoon say kya rishta
meri dunya ho tum hi tum , tumhain hi soochta hoon main
nigahoon main basi ho tum , khayaloon main samai ho
sukoon-e-dil ho tum mera, tumhian hi soochta hoon main
buhat mushkil hai ye jeena, tumharay bin mera rehna
kay meri saans main ho tum , tumhain hi sochta hon main
kabhi tanhai main betho, agar tanhai main tum ho
tou itna yaad kar lena , tumhain hi soochta hoon main
************************************************** *******************
Phool hi phool khilata hai sar-e-shaakh-e-wajood
Aur khushboo ko musalsal nahi hone deta
Aalam-e-zaat main darwaish bana deta hai
Ishq insaan ko pagal nahi hone deta
************************************************** ******
koi yaad bhi usko yaad nahi
koi baat bhi usko yaad nahi
ik shakhs ney usko chaha tha
yeh zaat bhi usko yaad nahi
jub shab ki bijli chamki thi
aur badal toot k barsa tha
hum dono jiss main bheegey they
woh barsaat bhi suko yaad nahi
woh sahil darya phool hawa
woh wada saath nibhaney ka
aur shab bhar chand ko daikha tha
Woh raat bhi usko yaad nahi
wohg kehta tha main sunta tha
Un lakhon main koi baat bhbi usko yaad nahi
************************************************** ************
friend_love_life_110@hotmail.com