Ek naghma Fani ke siwa kuch bi nahi hai
Ye jism jawani ke siwa kuch bi nahi hai
Ye shor u hai shor, Ba Andaza hasti
Daryaon main Pani ke siwa kuch bi nahi hai
Dekheye tu Buhat Khub hai hangama Ulfat
Yeh qisa kahani ke siwa kuch bi nahi hai
Kuch aur tarah chahye Jazbat ka Izhar
Lafzoon main Mafi ke siwa kuch bi nahi hai
Nisbat hi se har cheez ki pehchaan hai warna
Dil in ki nishani ke siwa kuch bi nahi hai
Aangan main mere jis se charagha sa laga hai
Ek yaad puraani ke siwa kuch bi nahi hai
Jate huwe mur mur ke dekhta hai Suraj
Shab Nakal Makani ke siwa kuch bi nahi hai
Milne do isay khak main Aankhon ko Bachawo
Aanso hai yeh pani ke siwa kuch bi nahi hai
Aawo ke kisi Aur hi Basti ko nikal jaye
Hasti main Garani ke siwa kuch bi nahi hai
.....................................
With Best Wishes
yours
Faraz
mfaraz102@yahoo.com
0334-9221760